Doosra Banvaas

Ram banvaas se laut ke jab ghar mein aaye
Yaad jungle bahut aaya jo nagar mein aaye

Raks-e-deewangi aangan mein jo dekha hoga
6 Desambar ko Shri Raam ne socha hoga
Itne deewane kahan se mere ghar mein aaye

Jugmagaate the jahan Raam ke kadmo ke nishan
Pyar ki kahkashaan leti thi angdaayi jahan
Mod nafrat ke usi rahguzar mein aaye

Dharam kya unka hain, kya jaat hain yeh jaanta kaun
Ghar na jalta to unhe raat mein pehchanta kaun
Ghar jalane ko mera, log jo mere ghar mein aaye

Shakahari hain mere dost tumhare khanjar
Tumne Babar ki taraf pheke the saare pathar
Hain mere sar ke khazaar zakhm jo sar mein aaye

Paun Sarjoo mein abhi Raam ne dhoye bhi na the
Ki nazar aaye wahan khoon ke gehre dhabbe
Paun dhoye bina Sarjoo ke kinare se uthe
Raam yeh kehte hue apne dwaare se uthey

Raajdhani ki khiza aayi nahi raas mujhey
6 Desambar ko mila doosra banvaas mujhey.

~Kaifi Azmi(19?? -2002)
(source)

No comments: